Meri Maa

How would you define a mother, a creature called by various names, given various honors.
Who is she, and where has she come from? Does anyone has an answer to this question, if yes then please do tell me, because I am just amazed by the wonderfulness of this lovely creature.

Qualities like patience, love, thankless giving describe such a creature. She is beautiful, not only from outside but full of inner beauty. She is someone who has been compared to and given the honor of being God.

A small poem for this lovely and amazing creature

Nau mahine mujhe apni kokh mein sanjo ke rakha tumne,
har buri nazar se hamesha bachaya tumne,
kaun ho tum aur kisne bheja hai tumko?
ohh ma,
kahan se aayi ho tum,
kahan se itni mamta apne seene mein chhupa ke laayi ho tum.

fir kokh se nikalte hi, meri har dhadkan ,
har ehsaas ko bina kuch kahe hi smjh liya hai tumne,
mere ishaaron ko awaaz di hai tumne,
mere chaaron taraf raksha kavach khada kiya tumne.

ab to btaa hi do kaun ho tum, jo meri har cheekh par yun daudi chali aayi,
mujhe god mein liya utha aur muskaan mere chehre pe le aayi.
meri kilkaariyon ne tumhe khushi se bhar diya,
teri aankhon ki us chamak se mera rom rom khil gya.

ohh ma, meri har zarurat ko smjha tumne,
meri har baat ko suna,chahe fir wo kahi ho ya ankahi,
mere gusse ko bhi saha, aur mere aansu bhi paunchhe,
aakhir kaun ho tum,
jo meri khushi mein bhi jhoom uthi aur fir dukh bhi baanta jab bhi zarurat padi.

kabhi na maanga mujhse kuch, kabhi na kuch kaha,
bas chup chap, haste haste tumne yu hi mujhe ek mukammal insaan bnaa diya.
meri himmat bani jab bhi kadam mere dagmagaaye,
mera hauslaa bani jab bhi nayi disha mein kadam maine badhaaye.










mera sar jhuka hai us bhagwan ke aage aaj,
ki usne diya tere roop mein mujhe ek saathi, ek hamdard, ek dost aur ek sahara.
us bhagwan ke aage main naman hun aaj,
jo di usne mujhe teri kokh, tere aanchal ka saaya aur tere haathon ka dulaar.
nahin to ye zaalim duniya mein nahin jee paati main,
tere astitav ke bina apna astitav nahin dhund paati main.

I dedicate this poem to my mom, and to all the wonderful mothers of this world.

I have realised its very tough to be a mom, to be one who can just keep on giving selflessly. It requires a lot of courage, and a lot of patience. And I just bow to such a wonderful creature that God has created for us. I love you mumma.

Comments

vikram said…
Nice work Nidhi....

Popular Posts